bahot udaas hoo aur dil tadap raha hai mera
badi tamanna thi dekhunga aap ka rauza
mai dekhta raha sab jaa rahe thay ay maula
kyun is baras bhi nahi jaa saka mai karbobala
mere naseeb mein kya karbala nahi maula
ghulam aap se ab tak mila nahi maula
mai matami hoon bula lein mujhe bhi rauze par
lahoo bahaya apne watan mein reh ke magar
haram mein aap ke pursa diya nahi maula
mere naseeb mein...
mai chal raha hoo julooson mein arbaeen ke din
hai ye bhi aap ke hi ishq ka safar lekin
najaf se karbala paidal chala nahi maula
mere naseeb mein...
chupa rakhi hai ziyarat ki aarzoo mann mein
bahot ghareeb hoo kuch bhi nahi hai daaman mein
siwa tumhare kisi se kaha nahi maula
mere naseeb mein...
dikha dein maujiza ek baar karbala aaun
ya mai bhi sughra ki tarha watan mein mar jaaun
aur intezaar ka ab hausla nahi maula
mere naseeb mein...
haram mein aath moharram alam uthaana hai
muqam e akbar o asghar mujhe bhi jaana hai
mai qaima gaah bhi ab tak gaya nahi maula
mere naseeb mein...
bula lo waasta ghazi ke zakhmi chehre ka
zameen pe chehre ke bal zeen se jis tarha wo gira
kata ke haath koi bhi gira nahi maula
mere naseeb mein...
ye zaireen se maine suna hai rote huwe
hussain aap jahan teen roz pyase rahe
wahan unhe koi pyasa dikha nahi maula
mere naseeb mein...
hai intezar mein zeeshan abidi kab se
habeeb se kahe ashoor par bula le mujhe
raza ka naam bhi ab tak likha nahi maula
mere naseeb mein...