hussain waalon suno ye hai qatl gaah e hussain
tadap raha tha yahin par ali ke dil ka chain
isi muqam pe zehra ye kar rahi thi bain
na qatl kar meri godhi mein mera noor e ain
yahan talak suno kaise hussain aaya tha
layeen khaynch ke baalon se usko laaya tha
tamacha maar ke seene pe jab sawaar hua
tadap ke reh gaye shabbir sirf itna kaha
utar ja seene se zaalim na zulm kar aisa
hai mere seene pe bas haq meri sakina ka
yahan pe aayi to mar jayegi wo ro ro kar
sakina dekh na le tujhko mere seene par
kabhi badan pe wo khanjar se waar karta tha
kabhi hussain ke zakhmon pe khaak daalta tha
phir apne paaon se zakhmon ko jab masalta tha
ali ka beta wahan baar baar marta tha
ghareeb e zehra jab abbas ko pukarta tha
layeen daadhi pakad kar tamacha maarta tha
isi maqam se sattar qadam thi door bahan
pukarti rahi na kaat shimr sookha dahan
tu jaanta hai bahot door hai hamara watan
mai le ke aaungi uske liye kahan se kafan
wahan hassan ko mile do kafan mai bhooli nahi
yahan hussain ki qismat mein ek kafan bhi nahi
zaban khushk hai zakhmi hai iski peshani
jawan bete ke qaatil ne maari hai barchi
hazaron zakhm ye khaakar gira hai thak ke abhi
hawa hai garm zameen tap rahi hai maqtal ki
pila de pani mohamed ka ye nawasa hai
hai moo khula hua na jaane kitna pyasa hai
ay rone waalon ye dil thaam kar suno manzar
chali churi to rakha haath maa ne ro ro kar
gala samajh ke wh karta tha waar gin ke magar
haan zakhm aate rahe fatema ke haathon par
hussain kehte thay amma hata lo haath amma
gale pe chalne do khanjar bacha lo haath amma
tadapte reh gaye maqtal mein dono maa bete
gale pe shaah ke zaalim ne tera waar kiye
bayaan haal ho zeeshan aur raza kaise
abhi talak to bahan uth rahi thi gir gir ke
sar e hussain kata dekh na saki zainab
zameen pe aise giri jaise mar gayi zainab