Kanz e Aza

Qatl ul Hussain

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Aarzoo. Lyrics in Roman Urdu.

qutl al hussain o be karbala


chala karbala se jo khaafila

hua jab nazara tha hashr ka

kahin sar kate kahin ghar luta

khule sar ye kehti thi fatema

qutl al hussain...


kahin barchiyon se chida jigar

kahin sar bureeda thay do pisar

thay kahin imam bhi nauhagar

yehi shor tha sar e alqama

qutl al hussain...


dil e mustafa ko thi bekali

saf e ambiya mein thi khalbali

hua zibha jab pisar e ali

sar e arsh goonji yehi sada

qutl al hussain...


kahin teer nikle kamaan se

kahin khoon behta tha kaan se

kahin hont tar thay zaban se

kahin bediyon ki thi ye sada

qutl al hussain...


kahin jibraeel thay sar nigoon

kahin ahle arsh thay be-sukoon

mai bayan ye kaise ye gham karun

mere saath rote hai ambiya

qutl al hussain...


yehi kehta phirta tha har shaqi

churi halq e shaah pe chal gayi

na ho lootne merin zara kami

yahan maal o zar ki kami hai kya

qutl al hussain...


thi janabe sughra ba chashme tar

na mili thi baba ki kuch khabar

hua jab rawana suye safar

to basheer kehta hua chala

qutl al hussain...


meri aankh roti hai aarzoo

inhi aansuon se hoon surkh roo

mujhe karbala ki hai justuju

jahan mai padhun yehi marsiya

qutl al hussain...