Kanz e Aza

Quran aur Hussain

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Sachey Bhai. Lyrics in Roman Urdu.

quran aur hussain

wallah sare moo farq nahi hai

dono ke ma bain


utra wo qalbe mohammed par

ye zehra ke ghar mein aaya

kaaba kausar ek doosre se

honge na khabi ye dono juda

dono hai noor hai dono ki

maznil kaaba kausain

quran aur hussain


wo khwab hai aur tabeer hai ye

wo ghaaka hai tameer hai ye

hirtaas e do aalam paar likhi

tehreer hai wo tafseer hai ye

mehboobe elaahi ke dil ka

ye dono hi hai chain

quran aur hussain


wo mojijza hai ejaaz hai ye

wo noor hai ye uska paykar

parwan chade hai ye dono

aaghose payambar mein pal kar

quran labon se khelte tha

zulfon se hasnain

quran aur hussain


jaan waar ke haq par sheh ne kiya

quran ke dushman ko abtar

quran sadayein deta hai

inna aataina kal kausar

baakhi hai nasl mohammed ki

jab tak hai nasle hussain

quran aur hussain


quran payame ahmed hai

shabbir salaam e ahmed hai

in dono ke dam se khayam

aalam mein nizame ahmed hai

allah o nabi ki hujjat hai

ye maa bain e kaunain

quran aur hussain


darse quran diya sheh ne

aalam ko usi talwaron mein

ek harfe shahadat ki likhdi

tafseer bahattar paaron mein

qurban tere ay waarise ilme

shaahe badr o hunain

quran aur hussain


quran ko noke naiza par

phir teer mein le aaye aada

mehman bulakar sarwar ko

pani na diya sar kaat liya

sar khole hue ek dukhyari

maa karti rehgayi bain

quran aur hussain


afsos nabi ki ummat ne

in dono hi ki khadr na ki

naizon se lagaye zakhm kabhi

teeron se kiya zaahe zakhmi

ummat ne baade payghambar

loota dono ka chain

quran aur hussain


sad haif nabi ki itrat ko

taqdeer ne ye din dikhlaya

ta shaam bala ke maidan se

naize pe sare bazaar gaya

quran sunata logon ko

zehra ka noore ain