maula hussain aaqa hussain
aaqa hussain qibla hussain
rab ne kaha rab ka hussain
rab ka hussain sab ka hussain
maula hussain
quran ke hai dil ki tamanna hussain
ishq tera dil mein sameina hussain
hai ye mere dil ki sada ya hussain
dhadkan mein hussain saanson mein hussain
yaadon mein hussain aankhon mein hussain
palkon mein hussain khwabon mein hussain
hai lab pe sada ye subho masa ya hussain
rab ka hussain...
sabr ne kalma hai pada bas tera
azm ne tujhse hai liya hausla
himmat ke liye himmat hai hussain
khudrat ke liye khudrat hai hussain
taaqat ke liye taaqat hai hussain
ye tera qaseeda sab ne padha
rab ka hussain...
jhoom ke kehta hai qalam ba khuda
loh bhi padta hai qaseeda tera
qismat ko jila deta hai hussain
taqdeer bana sakta hai hussain
har sheh pe tera qabza hai hussain
raahib ne zamane bhar se kaha ya hussain
rab ka hussain...
tu ne hi islam ko di zindagi
tujhse shariyat ko mili roshni
kaaba hai hussain qibla hai hussain
kalma hai hussain sajda hai hussain
har momin ka rauza hai hussain
allah ne tera shukr kiya ya hussain
rab ka hussain...
raaze khuda e wand ka chehra hai tu
kalma e tauheed ka nukhta hai tu
tu haq ka wali tu ibne ali
tu raaz e jali tu raaz e khafi
khudrat ko bhi zeenat tujhse mili
hai kaun bhala tujhsa maula
rab ka hussain...
lut gaya ek din mein bhara tera
zulm ye tujh par mere maula hua
qasim na raha akbar na raha
ghazi na raha asghar na raha
sarwar ka koi yawar na raha
hai tanha mera bekas maula
rab ka hussain...
peet ke sar momino matam karo
ashk se aankhon ko zara nam karo
jo zulm huwe hai maula par
sunle ye zamane bhar ka bashar
mazloom tha zehra ka pisar
ye arif o nasir ne hai kaha ya hussain
rab ka hussain...