teri aankhein saqi abbas teri zulfein saqi abbas
tera chehra saqi abbas hai misle hyder e karraar
sher e khuda ka sher hai abbas
abbas abbas abbas abbas abbas
hyder ne duaon may bas tujhko hi maanga hai
zahra ki tamanna tu zainab ka sahara hai
kulsoom ka bhai hai shabbir ka chehra hai
taqdeer hai kya teri kya shaan teri maula
sher e khuda ka sher...
shabbar ki haqeeqat tu shabbir ka lashkar tu
maidan may ay ghazi hai hyder e safdar tu
ek waar may kartha hai maloono be-sar tu
ye tera qasida bhi rab jhoom ke hai padta
sher e khuda ka sher...
jibreel larazte hai aur arsh larazta hai
haibat hai tumhari wo khamosh jo darya hai
abbas tumhe suraj hairani se takta hai
talwaar chalayi hai siffeen may jis lamha
sher e khuda ka sher...
jo sar ko jhukate hai abbas ki chaukhat par
meraj wo paate hai abbas ki chaukhat par
sar jo na jhukate hai abbas ki chaukhat par
us shakhs se khush hargiz allah nahi hoga
sher e khuda ka sher...
tu saaqi e kausar ka farzand hai ay ghazi
is waaste sarwar ne di mashk tujhe ghazi
ab bali sakina ki bas pyaas bujhe ghazi
ye kehke shah e deen ne maidan may tujhe bheja
sher e khuda ka sher...
abbas pa maidan may kya zulm hua haye
shaane bhi kate unke mashkeeza chida haye
ghazi ka ye armaan bhi pyasa hi raha haye
afsos kay qaimon may pani na pahunch paaya
sher e khuda ka sher...
baatenge sada kooze pani se bhare maula
zawwar ka waada hai ye tujhse mere maula
arif ko bulale tu rauze pa tere maula
nasir ne bhi ro ro kar tujhse hai yehi maanga
sher e khuda ka sher...