Kanz e Aza

Ya Ali

A noha for Imam Ali (a.s), written by Nasir Hussain. Lyrics in Roman Urdu.

ali ka ishq mere khoon ki taharat hai

ali ka ishq mere nafs ki ibadat hai

jaanam ali ali deenam ali ali

qiblma lai ali rooham ali ali

ya ali ya ali ya ali ya ali

ya ali ya ali ya ali


mai tere ishq may jeeta hoo mere maula ali

ya ali ya ali ya ali ya ali

ya ali ya ali ya ali


ishq aashiq ko tabaahi se bachata bhi hai

ishq hyder ke ghulamon ka sahara bhi hai

ishq ka kheemti anmol khazana bhi hai

ishq allah ke ausaaf ka chehra bhi hai

jeene marne ka maza ishq may tab aata hai

ishq jab paikar e aashiq may sama jaata hai

ya ali ya ali ya ali...

mai tere ishq may...


saare nabiyon ne kaha hai mera sarkar ali

saare waliyon ke liye tu hai madagaar ali

ay mere murshid o aaqa mera sarkar ali

bin tere hogi meri zindagi dushwaar ali

mujhko naukar teri chaukat ka bana de maula

teri naalain ka irfan kara de maula

ya ali ya ali ya ali...

mai tere ishq may...


ashk aankhon se bahata hoo teri yaadon may

apne daaman ko bhigota hoo teri yaadon may

raat din rota mai rehta hoo teri yaadon may

bas ali kehke tadapta hoo teri yaadon may

ay wali ibne wali mujhko sahara de de

ay madadgaar e nabi mujhko sahara de de

ya ali ya ali ya ali...

mai tere ishq may...


apne rauze se mujhe lad sada de maula

apna dedaar to ek baar kara de maula

meri soyi hui kismat ko jaga de maula

hoo mai betaab izn zara de maula

gar ziyarat na hui saans hi ruk jayegi

maut hi mujhko ziyarat teri karwaegi

ya ali ya ali ya ali...

mai tere ishq may...


maine saanson may basaya hai tera naam ali

meri dhadkan ne pukara hai tera naam ali

meri rag rag may samaya hai tera naam ali

mere honton pe to rehta hai tera naam ali

tera dar chod ke maula mai kidhar jaaunga

mai agar tujhse bichad jaaun to mar jaaunga

ya ali ya ali ya ali...

mai tere ishq may...


ghar may khaalik ke huwe qatl ali wavaila

arsh par ro ke tadapte hai nabi wavaila

ro ke zehra ne kaha haye ali wavaila

hai ye kohraam mohamed ke wasi wavaila

zakhm ko dekhte jaate hai hassan aur jari

aankh se khoon bahaate hai hussain ibne ali

ya ali ya ali ya ali...

mai tere ishq may...


sar ko peeto ke huwe jaate hai maula ruqsat

masjidon ne bhi kaha hote hai qibla ruqsat

kehta hai kaaba hota hai mera kaaba ruqsat

hai farishton ki sada hote hai aaqa ruqsat

ay azadar e ali qalb se ye gham kar lo

kal rahe ya na rahe khoon ka matam kar lo

ya ali ya ali ya ali...

mai tere ishq may...


qatl huwe sher e khuda haye ali ali ali

hote hai hum se juda haye ali ali ali

zulm ye kaisa hai hua haye ali ali ali

taygh lagi sar pe tere haye ali ali ali

khoon namzi ka baha haye ali ali ali

rote hai marqaq may nabi haye ali ali ali

zakhmi hai zehra ka jigar haye ali ali ali