Kanz e Aza

Ya Ali Hum Yateem

A noha for Imam Ali (a.s), written by Zeeshan Abidi (2026). Lyrics in Roman Urdu.

hum se na poocho

aaj ye sadma azeem hai

mar jaaye jis ka baap

wo ummat yateem hai


ya ali ye kya ghazab hua

haye hum yateem hogaye


saaya sar se aap ka utha

haye hum yateem hogaye


hai siyaah posh sogwaar

jin ke dil mein hai ali ka pyar

momino ki hai yehi sada

alwida shaahe zulfiqar

kis ne qatl aap ko kiya

haye hum yateem hogaye

ya ali ye kya...


hai amaama surkh ay imam

ho qubool aakhri salaam

aansu aankh mein liye huwe

pursa de rahe hai sab ghulam

ghar mein bich gayi safe aza

haye hum yateem hogaye

ya ali ye kya...


dekha jab hassan ne zakhmi sar

roye baba baba bol kar

ibne muljim e layeen ne

ek namazi rozadaar par

waar itni zor se kiya

haye hum yateem hogaye

ya ali ye kya...


kehti hai ali ki betiyan

aankhein kholiye ay baba jaan

dekhenge kafan mein aap ko

hum ne aisa socha tha kahan

dil ko kaise chain aayega

haye hum yateem hogaye

ya ali ye kya...


kaun pyar se bulayega

kaun ab galay lagayega

sar pe haath rakh ke baba jaan

kaun hum ko dega ab dua

kaise guzrega din eid ka

haye hum yateem hogaye

ya ali ye kya...


maa ke baad baap hi to tha

jis ne hum ko rone na diya

jab bhi maa ki yaad aayi to

baba ne galay laga liya

kaun dega hum ko hausla

haye hum yateem hogaye

ya ali ye kya...


lipti jab janaze se behan

bole ye hussain se hassan

teher jao thori dayr aur

baandhna nahi abhi kafan

dekhne do chehra baap ka

haye hum yateem hogaye

ya ali ye kya...


jab se ye tabeeb ne kaha

doodh hai ilaaj marz ka

aaye thay jo pyale thaam kar

kaun un yateemon ko bhala

jaa ke ye khabar sunayega

haye hum yateem hogaye

ya ali ye kya...


zakhmi sar wo khoon ya ali

bhool na sakenge hum kabhi

haan shahadat e ali ke din

mesum aur zeeshan abidi

de rahe hai ro ke ye sada

haye hum yateem hogaye

ya ali ye kya...