Kanz e Aza

Ya Ali Hyder Maula

A noha for Imam Ali (a.s), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

tu hi hai bas kharaar e man

tu hi hai iftekhar e man

tu hi rahaash e yaar e man

hyder hyder hyder hyder


tu hi hai raazdaar e man

tu hi hai aetbaar e man

tu hi hai ghamgusaar e man

hyder hyder hyder hyder


tu dildaar e man

tu sardar e man

tu sarkar e man

hyder ya hyder maula

ya ali hyder maula


hai wird e zaban naara e mastana

behlol ki tarha hoo mai deewana

hum dono ka hai ek hi sultan

hyder maula ya ali hyder maula

hyder maula hyder maula


darweshon ke halqe mein yehi baat suni hai

jo ishq sikhaata hai wo taleem yehi hai

idraak ke par jalte hai khamoshi badi hai

jo bola payambar ne wohi maana

hyder ko nahi koi bhi pehchaana

kehte hai yehi meesam o salman


hyder maula ya ali hyder maula

hyder maula hyder maula


hai wird e zaban naara e mastana

behlol ki tarha hoo mai deewana

hyder maula ya ali hyder maula

hyder maula hyder maula


ashjaar bane khaama samandar ho siyaahi

jibreel sukhanwar ki kare pusht panaahi

honge na raqam wasfe ali doonga gawahi

mumkin hi kahan lafzon mein le aana

haan nehje balagha se yehi jaana

quran pade jis ko wo quran


hyder maula ya ali hyder maula

hyder maula hyder maula


hai wird e zaban naara e mastana

behlol ki tarha hoo mai deewana

hyder maula ya ali hyder maula

hyder maula hyder maula


likh zaahir o baatin ke masayil se nikal kar

zehno ke sawalaat ko idraak se hal kar

pabandi e halaat hai likhna hai sambhal kar

bas itna likho jitna isay jaana

fatwa na laga de koi begaana

har gaam khata karta hai ausaan


hyder maula ya ali hyder maula

hyder maula hyder maula


hai wird e zaban naara e mastana

behlol ki tarha hoo mai deewana

hyder maula ya ali hyder maula

hyder maula hyder maula


kulle emaan meri jaan hyder

haq ki pehchaan meri jaan hyder

deen ki shaan meri jaan hyder

bole salman meri jaan hyder


hyder maula ya ali hyder maula

hyder maula hyder maula


hai wird e zaban naara e mastana

behlol ki tarha hoo mai deewana

hyder maula ya ali hyder maula

hyder maula hyder maula


karta hai dilon par bhi hukumat mera maula

taqseem kare dozakh o jannat mera maula

yun bhi to bada deta hai hairat mera maula

ek waqt mein chalees jagah jaana

phir apne musalle pe nazar aana

phir khud ko bataata hai ek insan


hyder maula ya ali hyder maula

hyder maula hyder maula


hai wird e zaban naara e mastana

behlol ki tarha hoo mai deewana

hyder maula ya ali hyder maula

hyder maula hyder maula


mashoor zamane mein hai deewana e hyder

sab khutb o wali bangaye mastana e hyder

hai inke liye qibla numan khaana e hyder

ye faqr hai dunya mein malangana

hyder se milay khuld ka parwana

hai wird e zaban naara ye har aan


hyder maula ya ali hyder maula

hyder maula hyder maula


hai wird e zaban naara e mastana

behlol ki tarha hoo mai deewana

hyder maula ya ali hyder maula

hyder maula hyder maula


tu mera hai mai tera hoo ay mere maula ali

teri chaukat pe pada hoo ay mere maula ali

baadshah tu mai gada hoo ay mere maula ali

tujhpe sau baar fida hoo ay mere maula ali

hai tera karam apna mujhe maana

kyun kar na karun sajda e shukrana

naslon pe meri tera hai ehsaan


hyder maula ya ali hyder maula

hyder maula hyder maula


hai wird e zaban naara e mastana

behlol ki tarha hoo mai deewana

hyder maula ya ali hyder maula

hyder maula hyder maula


mazhar dil e wehshi ka thikana to yehi hai

maane na koi maane batana to yehi hai

safdar ke labon par bhi taraana to yehi hai

hyder ki wilayat se na hat jaana

bharna pade chaahe koi harjaana

har gaam tumhara hai nigehban


hyder maula ya ali hyder maula

hyder maula hyder maula


hai wird e zaban naara e mastana

behlol ki tarha hoo mai deewana

hyder maula ya ali hyder maula

hyder maula hyder maula