bich gaya farshe aza hogaya matam bapa
aati hai dil se sada haye shahe karbala
karte hai matam tera haye qateel e jafa
chand falak par dikha aagaya maahe aza
phir safay bich gayi matam ki sada goonj uthi
naam lene se mere dil ko aata hai chain
ya hussain ya hussain ya ababdillah
char jaanib ye julooson ki sabeelon ki fiza
aaj har ghar mein azakhana saja hai maula
saari dunya mein bapa hogaya matam tera
phir safay bich gayi matam ki sada goonj uthi
naam lene se mere dil ko aata hai chain
ya hussain ya hussain...
saal bhar gham mein tere yun bhi nahi dil ko chain
chand dekha jo moharram ka utha shor o shain
sab azadaron ke lab par hai buka haye hussain
phir safay bich gayi matam ki sada goonj uthi
naam lene se mere dil ko aata hai chain
ya hussain ya hussain...
mere maula meri har saans tere gham pe nisaar
hai hawa sog mein doobe hue parcham pe nisaar
hai tere matami maula tere matam pe nisaar
phir safay bich gayi matam ki sada goonj uthi
naam lene se mere dil ko aata hai chain
ya hussain ya hussain...
haye ye chashme tasavvur jo gayi karbobala
teri gardan pe jo chalta hua khanjar dekha
khaak udaate hai isi gham mein sabhi ahle aza
phir safay bich gayi matam ki sada goonj uthi
naam lene se mere dil ko aata hai chain
ya hussain ya hussain...
jab bhi hirtaas pe mazhar ne likha haye hussain
maine rote huwe safdar ye kaha haye hussain
yun laga saare jahan mein hai sada haye hussain
phir safay bich gayi matam ki sada goonj uthi
naam lene se mere dil ko aata hai chain
ya hussain ya hussain...