ye chand hame kaisa gardoon pe nazar aaya
jisne ghame zehra mein khoon aankhon ko rulwaya
sughra ki nigahon mein ruqsat ke wo lamhe hai
ghar walon ki furqat ne bemaar ko tadpaya
ye chand hame kaisa...
phir kaale libason mein sab log nazar aaye
phir matami halqon mein har ghar se alam aaya
ye chand hame kaisa...
jo zakhm bhare dil thay phir taaza hue saare
nauha ali akbar ka in honton ne dohraya
ye chand hame kaisa...
phir sajne lagi mehendi naushaah ki ghar ghar mein
farwa ki sada'on se dil aur bhi bhar aaya
ye chand hame kaisa...
ek chota sa mashkeeza masroofe buka dekha
jab saamne aankhon ke ghazi ka alam aaya
ye chand hame kaisa...
ek nanhe se jhoole par pahunchi jo nazar meri
dil tukde hua mera khoon aankhon se barsaya
ye chand hame kaisa...
jab haye hussaina ki har samt sada goonji
matam ki sada'on se phir charkh bhi tharraya
ye chand hame kaisa...
akhtar ye qayamat thi aulad e payambar par
ghar sheh ka ujadne ki ashoor khabar laaya
ye chand hame kaisa...