Kanz e Aza

Ya Imame Raza

A noha for Imam Raza (a.s), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

mangton ki sun le maula

hum dar pe tere dete hai sada

ya imam e raza ya ghareeb al ghurba


har matami ki sun lo karte hai sab dua

ya imam e raza ya ghareeb al ghurba


tere dar pe aaye maula sab aas ye laga ke

jo mareez la-dawa hai use dard se shifa de

tere sehan may shifa hai hai yahin kahin khuda

ya imam e raza...


wo jo godiyan hai khaali tere dar pe hai sawali

sabhi aa ke choomti hai teri shehnashi ki jaali

asghar ke sadke un ko aulaad ho ata

ya imam e raza...


tu hi jaanta hai maula bichde huwon ka sadma

teri behan fatema ho akbar ho ya ke sughra

bhai behan jo bichde maula unhe mila

ya imam e raza...


nazre karam ho teri rahe door tang dasti

tere matami ko maula na rizq ki ho tangi

ho karz momino ka ab ghaib se ada

ya imam e raza...


angoor may zehr tha mamoon ne jo bheja

us zehr ne kiya tha tukde tera kaleja

ro kar utha rahe hai taboot hum tera

ya imam e raza...


qum ki wo shahazadi masooma behan teri

tujhse bichad ke maula zainab ki tarha royi

tujhko hai us ka pursa pursa usay tera

ya imam e raza...


farhan ki duayein maula unhe bualyein

mehroom hai jo ab tak iran wo bhi jaayein

hamrah khaafile ke mazhar ko bhi bula

ya imam e raza...