Ya syed-e-sajjad ya syed-e-sajjad
Karbobala me aapka sab ghar hua barbaad
1) Beemar-e-ghamo jour ko kaanto'n pa chalaya
Raaho me kahi'n bhi na mila aapko saya
Kya zulm sahe aap ne kaisi hui bedaad
Ya syed-e-sajjad ya syed-e-sajjad
2) Be jurm o Qata aapka maara gaya kunba
Baade shahe waala na raha puchne wala
Gham apna baya'n kisse kare zainab e nashad
Ya syed-e-sajjad ya syed-e-sajjad
3) Jab saamne Abid ke kabhi aata hai paani
Yaad aati hai pyaaso'n ki bahot tashna dahani
Chaalis baras baap ko rote rahe sajjad
Ya syed-e-sajjad ya syed-e-sajjad
4) Kya ranj-o-masaib ka hua samna moula
Kaise ho bayaa'n aata hai ab mu ko kaleja
Itrat pa mohammed ki ye kya padgayi uftad
Ya syed-e-sajjad ya syed-e-sajjad
5) Hai hai waled-e-shaam ne kaisa ghazab kiya
Bin baap ka layeeno'n ne Baquar ko kardiya
Zehre dagha se maare gaye syed-e-sajjad
Ya syed-e-sajjad ya syed-e-sajjad
6) Hyder tha Ahlebait me ek hashr sa bapa
Jab gusl o kafan Baquar-e-zijaan ne diya
Baba pa jo sitam hue sub aagaye wo yaad