Kanz e Aza

Ya Zahra Ali

A noha (2016). Lyrics in Roman Urdu.

Ya Zahra Ali


Momino qissa e sadaat suno

thaam kar dil ye meri baat suno


khoon se likhe huwe halaat suno

ya zahra, ya zahra, ya zahra, ya zahra..(2)


ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra

Momino qissa e sadaat suno

thaam kar dil ye meri baat suno


noor e kaunain madina hai jaha'n

ek mahella bani hashim hai waha'n

ek mahelle ke ek ghar ka bayaa'n

jisse behtar nahi duniya mein makaa'n


deen o eemaan ke kirdaar ka ghar

panjetan paak ke anwaar ka ghar

dukhtar e Ahmed e mukhtar ka ghar

fatima haider e qarrar ka ghar


laadle..(3), inke hasan aur hussain aur do betiya'n thi noor e ayn

ek kulsoom thi, ek baap ka zayn aur abbas dilo jaan ka chayn

ghar ye tha bayt e khuda

jisme qur'aa utra aur kis tarha luta


inka rutba na zamana samjha


ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra


Kaisi mazloom magar thi zahra

baap ke ghum me bhi rone na diya

haq se mehroom kiya wa abata

aaj bhi jiski lahad be saaya


jispe jalta huwa darwaza gira

hogayi pehlu shakista zahra

qatl mohsin bhi hua wawaila

baad e zehra wo ali ka girya


masjide..(3), kufa me phir shor utha

haaye haider pe chali teghe jafa

thi sada fusto be rabbil kaaba

ghar mein zehra ke qayamat thi bapa


sar se saaya jo utha

ghar ye veeran huwa

thi yateemo ki buka

haaye baba, haaye baba baba


ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra..(2)


Baad e haider ye sitam aur huwa

khoo'n mein shabbar ka janaza dooba aur phir deen jo mushkil mein ghira

tab hussain ibn e ali ghar se chala

karbala jaise hi pohcha kunba phir to kya zulm na sayyed pe huwa


milke laakho'n ne unhe gher liya

teen din pehle to paani na diya aur phir..(3)

maqtale sadaat sajaa

bhanje, bete, bhatija na raha


na wo lashkar na alamadaar bacha

asr se pehle wo halmin ki sadaa

chal gayi teghe jafa

khoon bekas ka baha


sar suwe naiza gaya

tan ko aghosh me zehra ne liya


ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra..(2)


Aa gayi shaam e ghareeba'n haye haye aur phir aag lagi khaime jale

ghash se jab aabid e beemar uthe

qaidi kunbe ke wo salaar bane

haaye sajjad ne kya kya dekha


sar khule shaam me kunba dekha

jashn darbaar mein hota dekha

choti hamsheer ka laasha dekha

qaid se..(3), chutke chale karbobala


sab ka chehlum kiya matam bhi kiya

qafila jab ye madine pohcha

ab baya'n sarwar o rehan ho kya

haye matam tha bapa


jab ye zainab ne kaha

na rahi meri rida

amma mai aagayi bhai na raha


ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra..(2)