Kanz e Aza

Ya Zahra ya Zahra

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Irteza Zaidi. Lyrics in Roman Urdu.

ya zahra ya zahra ya zahra ya zahra


aap ki chaukhat pe hai ye ilteja

sar pe ho saaya fighan teri rida


tu jaane mustafa tu shaan e murtaza

azra o marzia sayyeda taahera

marzi e kibriya ay rabbe fatema

sunle meri dua karta hoo ilteja

sar pe ho saaya fighan teri rida

ya zahra ya zahra...


hum tere naukar hai yun sab se behtar hai

khadim e hyder hai yun misle qambar hai

zakir e sarwar hai saahib e mimbar hai

shayir e shabbar hai hum ilm e parwar hai

sar pe ho saaya fighan teri rida

ya zahra ya zahra...


haye baade nabi mehwe fughan ali

chaayi hai teeragi aayi kaisi ghadi

roti hai zindagi haye ye bekasi

aankhon mein hai nami fizza kehti rahi

sar pe ho saaya fighan teri rida

ya zahra ya zahra...


jeena dushwaar hai tooti dewaar hai

gham ki yalghaar hai kehna bekaar hai

bikhra ghar baar hai zaalim ka waar hai

zehra bemaar hai haye darbar hai

sar pe ho saaya fighan teri rida

ya zahra ya zahra...


bole ahle aza ye gham teri ata

dard e dil ki dawa matam ki hai sada

sunlo behre khuda gham ka ye maajera

jaari rahe sada karte hai ye dua

sar pe ho saaya fighan teri rida

ya zahra ya zahra...


zulm ye kya hua tera ghar jal gaya

mohsin bhi chal basa fizza ne ye kaha

sakte mein sayyeda aao ay murtaza

nauha ye jab suna chaayi gham ki ghata

sar pe ho saaya fighan teri rida

ya zahra ya zahra...


pehlu shikasta hai fizza pe sakta hai

gham se dam ghut'ta hai aansu nikalta hai

shabbar shikasta hai dil gham se phat'ta hai

ro kar ye kehta hai taboot uth'ta hai

sar pe ho saaya fighan teri rida

ya zahra ya zahra...


likh kar nauha tera ahsan o irteza

karte hai ye dua ay binte mustafa

bulwayein karbala jaari rahe ata

sheh ka ye gham sada karte rahe bapa

sar pe ho saaya fighan teri rida

ya zahra ya zahra...