ya zainabe kubra
ay bibi bani e aza paigham e karbala tera
jisne suna yehi kaha
ya zainabe kubra...
taygh khutbon ki bar sare darbar
jaise chalti ho hyderi talwaar
kat ke girte thay zalimon ke jigar
jang e khyber thi ya teri lalkaar
ya zainabe kubra...
ay bibi baani e aza deen e rasool bach gaya
quran ki thi ye sada
ya zainabe kubra...
yaad aata hai shaam ka manzar
bibi sar pe tere na thi chadar
har taraf patharon ki baarish thi
teri poshaak thi lahoo mein tar
ya zainabe kubra...
ay bibi baani e aza sadma tha ye bahot bada
roya sar e shahe huda
ya zainabe kubra...
tu ne bacchon ki di hai qurbani
haye re tera zokh e emaani
pyase bhai ki yaad mein tu ne
khoon banaya hai aankh ka pani
ya zainabe kubra...
ay bibi baani e aza ye zabt hausla tera
naize pe sar pukarta
ya zainabe kubra...
tere dar par ye isteghasa hai
jo bhi farshe aza pe rota hai
us pe saaya kare tera ghazi
wo jo mushkil kusha ka beta hai
ya zainabe kubra...
ay bibi baani e aza hum momino ki ye dua
ashk e azaa ka waasta
ya zainabe kubra...
kitne makrooz matami hai tere
karz tu ghaib se adaa kar de
bibi tu to saqi ki beti hai
tu to muflis ko badshaah kar de
ya zainabe kubra...
ay bibi baani e aza tu innama tu hal ataa
kehta hai sar jhuka hua
ya zainabe kubra...
qaid bejurm jo hai matamdar
misle mazloom abid e bemaar
unko azadiyon ka tohfa de
aaj tu misle hyder e karrar
ya zainabe kubra...
ay bibi baani e aza hum ko hai tera aasra
ghairon se maangna hai kya
ya zainabe kubra...
tere bhai ne jaise raahib ko
saat bete ataa kiye phir to
tu bhi hamsheer us saqi ki hai
de de aulaad chahiye jis ko
ya zainabe kubra...
ay bibi baani e aza aulaad aisi kar ataa
ho wo bhi matami tera
ya zainabe kubra...
waasta us aseer bacchi ka
rassiyon mein bandha tha jiska gala
wo jo pyasi thi mar gayi pyasi
koi baccha na ab rahe pyasa
ya zainabe kubra...
ay bibi baani e aza hai har sabeel par likha
kehta hai koi bawafa
ya zainabe kubra...
likh ke rehaan azmi nauha
maine apne qalam ko jab dekha
khoon tapakta tha uski aankhon se
soz kaghaz ke qalb se utha
ya zainabe kubra...
ay bibi baani e aza hum se na haq adaa hua
kar de muaaf ye khata
ya zainabe kubra...