zainab ka tujhse waada hai bhai
dunya mein tera matam rahega
be-waarisi ho ya be-ridayi
dunya mein tera matam rahega
parcham utha kar ghazi ka apne
poore karungi mai tere waade
baba karenge mushkil kushaai
dunya mein tera matam rahega
zainab ka tujhse...
paigham tera mitne na doongi
pyasi rahungi paidal chalungi
mazloomiyat ki ban kar gawahi
dunya mein tera matam rahega
zainab ka tujhse...
odhungi sar par us waqt chadar
le loongi badla jab ay baradar
kehti hai tujhse zahra ki jaayi
dunya mein tera matam rahega
zainab ka tujhse...
beton ka matam us din karungi
chehlum tumhara jab kar chukungi
maine yehi hai mannat uthayi
dunya mein tera matam rahega
zainab ka tujhse...
chaadar ke badle sar loongi us ka
majlis ki khaatir ghar loongi us ka
nasle yazeedi degi duhaai
dunya mein tera matam rahega
zainab ka tujhse...
har ghar mein hoga ab tera matam
har roz hoga misle moharram
dekhegi ab to saari khudayi
dunya mein tera matam rahega
zainab ka tujhse...
taboot tera ghazi ka parcham
ut'the rahenge dunya mein har dam
maine qasam hai zahra ki khaayi
dunya mein tera matam rahega
zainab ka tujhse...
rab ki raza hai rehaan nauha
na qaid e mausam na khauf e dunya
ye naukri hai qismat se paayi
dunya mein tera matam rahega
zainab ka tujhse...