zindan ka andhera mujhe sone nahi deta
roti hoo to zaalim mujhe rone nahi deta
baba mere kaano se lahoo ab bhi hai jaari
maare hai tamache bhi sakina ko tumhari
pehlu may phupi ke mujhe rehne nahi deta
zindan ka andhera mujhe...
awwal to mujhe neendh hi aati nahi baba
soti hu to durro se jaga dete hai aada
ye shimr mujhe saans bhi lene nahi deta
zindan ka andhera mujhe...
ab khaab may pani ki tamanna nahi karti
kaante hai pade halq may aur saans hai rukti
ammu se shikayat koi karne nahi deta
zindan ka andhera mujhe...
is qaid se kab hogi rehaai mere baba
kaise sahoo asghar ki judaai mere baba
gham kunbe ka ab to mujhe jeene nahi deta
zindan ka andhera mujhe...
rehaan buka karti thi jab bali sakina
khud maut ke maathe pe bhi aata tha pasina
ye waaqia aansu mere rukne nahi deta
zindan ka andhera mujhe...