zindan mein nahi aati kyun taaza hawa bhaiya
sajjad sakina ko marne se bacha bhaiya
dewaaron se zindan ki takrake mai girti hoo
phir dayr talak bhaiya tanha hi sisakti hoo
aa rayt ke bistar se behna ko utha bhaiya
zindan mein nahi aati...
jeeti thi imamat ke mai paak saveron mein
ab meri guzarti hai zindan ke andheron mein
is waqt bhi rassi mein hai mera gala bhaiya
zindan mein nahi aati...
pani nahi mangungi bachon ko sambhalungi
in chote se haaton se tere kaate nikalungi
ek baar sakina ko tu paas bula bhaiya
zindan mein nahi aati...
jisne mujhe maara tha wo khaab mein aata hai
mai so bhi nahi sakti kuch aise darata hai
sajjad mujhe dedo baahon mein panaah bhaiya
zindan mein nahi aati...
sajjad tere gham mein jo ashq bahayega
jo halqa e matam mein sar peet'ta aayega
tauqeer dilaungi waada hai mera bhaiya
zindan mein nahi aati...