rokar ye bayan karti thi zindan may sakina
kab hoke reha qaid se jaungi madina
sab kat gaya maidan may baba ka wo lashkar
abbas chacha hai na qasim hai na akbar
roti thi bain karti thi mazloom sakina
na aun o mohamed hai na bhai mera asghar
abid se bain karti thi rokar ye sakina
ud kar kahan jaate hai sare sham parinde
zainab se sakina ne kaha aah ye bhar ke
rone lagi ye sunte hi bardaasht hui na
ghar jaate hai wapas kaha zainab ne ye rokar
sunte hi ye kehne lagi shabbir ki dukhtar
kab jaungi is qaid se chutkar mai madina
tahir hui khamosh bayan baba se karke
zindan se reha to hui lekin hui mar ke
karbal se wo zindan tak so bhi saki na