Kanz e Aza

Zindan May Sakina Ye

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

zindan may sakina ye buka karti thi ro kar

dam ghut'ta hai amma mera ab yan se chalo ghar


kya andhera hai sujhayi nahi deta kuch bhi

haath rakta nahi amma mere sar par koi

aur chand roz may mar jaungi mai ghut ghut kar

zindan may sakina ye buka...


khoon bhara kurta badal do mera pyari amma

apni godhi may sulalo mujhe waari amma

sone deta nahi ek pal bhi mujhe ye hijre padar

zindan may sakina ye buka...


neel rukhsar ke kano se lahoo taaza hai

kuch mere dard ka amma tumhe andaza hai

raat din roti hoo kar de koi baba ko khabar

zindan may sakina ye buka...


tum to kehti thi rehaai ki ghadi aa pahunchi

aisa lagta hai judaai ki ghadi aa pahunchi

khaab may aaye thay mere abhi dada hyder

zindan may sakina ye buka...


pyaas se khushk hai rassi se gala hai zakhmi

us pe ye zulm ke rone bhi nahi dete shaki

ghudkiya shimr jo deta hai to phat'ta hai jigar

zindan may sakina ye buka...


khaak pe soti hoo baba ka nahi hai seena

kitna dushwaar hai is ranj o mehan may jeena

raat din roti hoo karde koi baba ko khabar

zindan may sakina ye buka...


neend aati na thi rehaan jisay wo bachi

so gayi shaam ke zindan may ye kehti hui

chain se soungi zindan se jab jaungi ghar

zindan may sakina ye buka...