zindan se ghul utha hai sakina guzar gayi
thi laadli jo shaah e shaheedan ki mar gayi
ab hai fughan ka shor na aawaz e al atash
milne ki aarzoo hai padar se na kash makash
khamoshiyon ki godh mein noor e nazar gayi
zindan se ghul utha hai...
rukhsaar neele neele wo kurta phata hua
chehra tamaam gard e alam se ata hua
hasrat liye rehaai ki ba chashm e tar gayi
zindan se ghul utha hai...
naale rabab karti thi zainab thi beqaraar
matam kuna thi bibiyan sajjad soghwaar
kehtet thay ro ke bali sakina kidhar gayi
zindan se ghul utha hai...
bhai tha qaid maa bhi rasan basta o aseer
ammu ki yaad dil mein chuboti thi gham ke teer
soz e gham e firaaq mein jaan se guzar gayi
zindan se ghul utha hai...
mar ke bhi qaid se na rehaai hui naseeb
al-qissa dafn ho gayi zindan mein wo ghareeb
nauha jo roz karti thi wo nauhagar gayi
zindan se ghul utha hai...
rehaan sar ko peetiye aansu bahaiye
farsh e aza sakina ke gham mein bichaiye
poti ali ki shaam ke zindan mein mar gayi
zindan se ghul utha hai...