zindan mein zainab bain kare
mera kunba saara qatl hua
meri chadar lut gayi karbla mein
bemaar bhatija rota raha
zindan mein zainab...
pamaal hua bhai ka badan
mere baal khule haathon mein rasan
akbar ka jigar barchi se chida
asghar ko mere pani na mila
zindan mein zainab...
kanton pe chali hoo ay bhai
har ek qadam teri yaad aayi
bazaar mein pathar barse hai
darbar mein thi mai be-parda
zindan mein zainab...
aankhein meri tarsi rone ko
tarsi hai sakina sone ko
aada ne mujhe rone na diya
bacchi ko teri sone na diya
zindan mein zainab...
teri gardan aur zaalim ki churi
ay bhai mai kuch bhi kar na saki
rone ke siwa mai kya karti
aankhon se baha khoon ka darya
zindan mein zainab...
matam mai karun tera kaise
azaad ho pehle haath mere
lekin hai mera waada tujhse
ta hashr rahega zikr tera
zindan mein zainab...
tere bin jo watan jayegi behan
zinda to na reh payegi behan
ghar qabr lagega zainab ko
yaad aayega bhaiya saath tera
zindan mein zainab...
poochegi agar sughra mujhse
kyun aaye nahi baba mere
mai kaise kahungi ay sughra
baba ne basayi karbobala
zindan mein zainab...
mai aun o mohamed ke hujre
dekhungi bhala khaali kaise
sab zabt ke bandhan tootenge
yaad aayenge ibne abdullah
zindan mein zainab...
zindan mein sakina mar gayi hai
dunya se safar wo kar gayi hai
nikla na rehaai ka armaan
taboot e sakina bhi na utha
zindan mein zainab...
farhan fughan thi zainab ki
jo shaam ke zindan mein goonji
rehaan fughan wo dard bhari
tha saani e zehra ka nauha
zindan mein zainab...