aa gaya bazare shaam aa gaya bazare shaam
bibiyon mein hai koraam aa gaya bazare shaam
sang ki barsaat hai kehkahe hai char soo
be rida hai bibiyan sar se behta hai lahoo
has rahe hai ahle shaam aa gaya bazare shaam
aa gaya bazare shaam...
ahle shar hai har taraf haath mein pathar liye
hai koi naiza liye hai koi nashtar liye
har taraf hai ek kohraam aa gaya bazare shaam
aa gaya bazare shaam...
tauq hai nauha kuna ro rahi hai bediyan
haye rassi mein bandhi dekhti hai bibiyan
taaziyane aur imam aa gaya bazare shaam
aa gaya bazare shaam...
chin gayi teri rida bach gaya hai la-ilaah
ab tujhe darbar mein hai bachana karbala
ab hai zainab tera kaam aa gaya bazare shaam
aa gaya bazare shaam...
aasman haye zameen par toot kar girne ko hai
dekh kar bemaar ko khaak par girne ko hai
hai koi zainab ko thaam aa gaya bazare shaam
aa gaya bazare shaam...
tere baazu choom kar roye thay jis ko ali
jis ko rote aaye hai aaj tak saare wali
haa yehi hai wo maqam aa gaya bazare shaam
aa gaya bazare shaam...
ro diye ahle haram tauq ke aazaar par
shaam ke bazar mein haye ek bemaar par
ho gayi mushkil tamam aa gaya bazare shaam
aa gaya bazare shaam...
rassiyan hai baazuon mein aur naaqe tez tar
godh se maa'on ke bache gir rahe hai khaak par
hashr hai har ek gaam aa gaya bazare shaam
aa gaya bazare shaam...
khoon e dil mein doob kar tune jo likha naved
jab talak hai karbala hai tera nauha naved
karbala to hai dawaam aa gaya bazare shaam
aa gaya bazare shaam...