akbar ko sada deti thi maa sholon mein ghir kar
kab aaoge akbar
jaate hai mere sar se rida leke sitamgar
kab aaoge akbar
gharabayi hui phirti hai maa qaime ke andar
be-maqna o chadar
ab aag mein jalne ko hai gehwara e asghar
kab aaoge akbar
akbar ko sada deti thi...
har simt se sholon ne hamay ghayr liya hai
aur tez hawa hai
aajao ke jalne ko hai sajjad ka bistar
kab aaoge akbar
akbar ko sada deti thi...
zad par hai tamachon ki wo hai naizon ki zad par
hai sholon ki zad par
kaano se sakina ke khiche jaate hai gohar
kab aaoge akbar
akbar ko sada deti thi...
wo haal hai kis ko hai khabar kaun kahan hai
har simt dhuaan hai
sakte mein hai zainab bhi khadi qaime ke dar par
kab aaoge akbar
akbar ko sada deti thi...
qaimon mein dhuwein ke siwa paati nahi kuch bhi
milta nahi koi
ek qaime se ek qaime mein jaati hoon khule sar
kab aaoge akbar
akbar ko sada deti thi...
beta mai sitamgaaron se sar kaise chupaun
aakhir kahan jaaun
andar hai lagi aag adoo qaimon ke baahar
kab aaoge akbar
akbar ko sada deti thi...
girti hai rahi khaak se uth'ti rahi laila
ek hashr tha barpa
nauha tha naved uske labon par ye barabar
kab aaoge akbar
akbar ko sada deti thi...