Kanz e Aza

Ay Nana Teri Ummat se

A noha for Shehzadi Zainab (s.a), written by Ahmed Naved. Lyrics in Roman Urdu.

ay nana teri ummat se tera deen bacha kar laayi hai

teri beghar zainab aayi hai

o teri beghar zainab aayi hai

be-chadar zainab aayi hai

tera deen bacha kar laayi hai


poocha jo kisi ne zainab se bhai hai kahan to zainab ne

ek muthi khaak uthayi hai aur khaak hawa may udayi hai

teri be-ghar zainab aayi hai

ay nana teri ummat se…


quran tha jo shabbir ka tan maqtal may sumon se rondha gaya

juz daan tha jo tan ka kurta wo khoon may dooba laayi hai

teri be-ghar zainab aayi hai

ay nana teri ummat se…


be-jaan hujre chup darwaze saabit parde be-jumbish lab

ya ghar may hai ek sannata ya zainab ki tanhai hai

teri be-ghar zainab aayi hai

ay nana teri ummat se…


maqtal may lagi thi keemat e deen boli dete thay dushmane deen

ay nana maine keemat e deen apni chadar se chukayi hai

teri be-ghar zainab aayi hai

ay nana teri ummat se…


tha jisne sawaar karaya jab zainab ki sawari nikli thi

ay shehre madina kahan hai wo zainab ki sawari aayi hai

teri be-ghar zainab aayi hai

ay nana teri ummat se…


us chadar se hi kaabe ki hurmat ka banega ghilaaf naved

bhai par se sadqa karke jo chadar zainab aayi hai

teri be-ghar zainab aayi hai

ay nana teri ummat se…