dhalne lagi jo raat mein bewarison ki shaam
aata hua sawaar jo dekha suye qayaam
binte ali ne thaam ke dil thaamli lajaam
goonji sada e dukhtare zehra e nek naam
chingayi rida ghar ujad gaya
aap thay kahan haye baba jaan
ran mein kat gaya bhai ka gala
aap thay kahan haye baba jaan
thaam ke wo dil khaak par gira
hoo bahoo jo tha shakle mustufa
uske seene par naiza jab laga
aap thay kahan haye baba jaan
chingayi rida ghar...
nanha sa gala teer se chida
khoon jab baha larzi karbala
chehre par wo khoon bhai ne mala
aap thay kahan haye baba jaan
chingayi rida ghar...
mashk ki taraf teer jab chala
mere sher ka baazu jab kata
mashk jab chidi gurz jab laga
aap thay kahan haye baba jaan
chingayi rida ghar...
bhoolungi na mai wo dard ki ghadi
chal rahi thi jab bhai par churi
de rahi thi mai us ghadi sada
aap thay kahan haye baba jaan
chingayi rida ghar...
lootne ko jab aaye ashkiyan
ghar ka ghar tha jab sholon mein ghira
chin rahi thi jab sar se ye rida
aap thay kahan haye baba jaan
chingayi rida ghar...
lag rahi thi jab moo pe sayliyan
haye kano se tha lahoo rawan
jab gohar chinay kurta jab jala
aap thay kahan haye baba jaan
chingayi rida ghar...
haye baba tha honton par naved
ro rahi thi baag thaam kar naved
goonjti thi ye dasht mein sada
aap thay kahan haye baba jaan
chingayi rida ghar...