Kanz e Aza

Kahin Nahi Hai

A noha for Shehzadi Zainab (s.a), written by Ahmed Naved. Lyrics in Roman Urdu.

kahin nahi hai safar may qayam zainab ko

abhi to jaana hai maqtal se shaam zainab ko


luta ke apni kamayi jo pahunchi uske huzoor

bacha ke uski khudayi jo pahunchi uske huzoor

khuda ne pesh kiya apna jaam zainab ko

kahin nahi hai...


fana ke sayl may zainab ka bain reh jaye

khuda ka chehra liye ya hussain reh jaye

isi sabab se mila hai dawam zainab ko

kahin nahi hai...


azal abad ke tasalsul hai chahe din ho ke raat

har ek zamane may karna faqad hussain ki baat

nahi hai iske siwa koi kaam zainab ko

kahin nahi hai...


kahe to kis se jo us par guzar gayi haye

usay to kha gayi kufe ki khamoshi haye

magar hila na saka shor e shaam zainab ko

kahin nahi hai...


jo dekha sughra to kho diye hawaas tamaam

wo poochti bhi to sughra se kaise uska naam

ke khud na yaad raha apna naam zainab ko

kahin nahi hai...


baraye arz o samaa raasta nikaalna hai

hudood e waqt se ye kaafila nikaalna hai

so de rahe hai qayadat imam zainab ko

kahin nahi hai...


rukhe hussain ko ta-zinda kar diya hai naved

khuda ko usne jo pa-inda kar diya hai naved

ye khoon ka pursa hai yani salaam zainab ko

kahin nahi hai...