paal kar zainab ne sab ko karbala tayyar ki
deen ki hurmat par lutaane ko rida tayyar ki
wo sada nikli dile zainab ban kar ya hussain
de ke sar sheh ne jo hal min ki sada tayyar ki
paal kar zainab ne...
haan yehi zainab hai jisne ek saaye ki tarha
pusht par bhai ke reh kar karbala tayyar ki
paal kar zainab ne...
aa gaya is mein simat kar sirre ramz e la ilaah
ya hussaina ki jo zainab ne sada tayyar ki
paal kar zainab ne...
ho salaam us par ke jisne khoon ka nazrana diya
ummato ke waaste khaake shifa tayyar ki
paal kar zainab ne...
khoon baha us maa se poocho uski waaris hai wohi
jisne bete ki shahadat ko qabaa tayyar ki
paal kar zainab ne...
la ilaah ko jisne sarnaama banaya ay naved
jisne apne khoon se unki bina tayyar ki
paal kar zainab ne...