aaj zainab karegi maqtal mein
pehla sajda baghair chadar ke
roshni aur hawa ne bhi jiska
sar na dekha baghair chadar ke
jisko dafna nahi saki zainab
bekafan tha jo dashte ghurabt mein
apne bhai hussain ka usne
gham manaya baghair chadar ke
aaj zainab karegi...
wo jo uski rida ka zaamin tha
uske naqshe qadam mitaata tha
kaise guzregi uske laashe se
binte zehra baghair chadar ke
aaj zainab karegi...
jiska quran chehra padhta tha
sirf aayaat dekhti thi jise
aaj dekhenge usko galiyon mein
ahle kufa baghair chadar ke
aaj zainab karegi...
tum se zainab na hum kalaam hui
meri awaaz na suni tum ne
aao baba sunaaun mai tum ko
aaj khutba baghair chadar ke
aaj zainab karegi...
dono zakhmon ne khoon rulaya hai
qabr mein bhi khuda ki ghairat ko
ek laasha tha bekafan ran mein
ek janaza baghair chadar ke
aaj zainab karegi...
kaise un chadaron ke maqtal mein
teen din tak khadi rahi zainab
jis jagah maut se bhi mushkil tha
ek lamha baghair chadar ke
aaj zainab karegi...
jo bhi parde ko rone waali hai
waasta unko bibi zainab ka
binte zehra ki paak chadar ko
tum na rona baghair chadar ke
aaj zainab karegi...
khaak baalon mein baal chehre par
aur aankhon se ashk jaari hai
qaid khane mein aise zainab ka
saal guzra baghair chadar ke
aaj zainab karegi...
uska parda tha zindagi uski
saans usko rida se milti thi
hai qayamat faraaz zainab ka
zinda rehna baghair chadar ke
aaj zainab karegi...