labbaik ya zainab labbaik ya zainab
labbaik ya zainab labbaik ya zainab
ya sayyidi ya abal-fazlil abbas
ya sayyidi ya abal-fazlil abbas
saqqa e sakina ay saakin al madina
saqqa e sakina ay saakin al madina
har hussaini dil ki tum ho aas ya hazrat e abbas
maujiza koi dikha do
shaam ka phir hamein zawwar bana do
maula abbas maula abbas maula abbas
tum ko sakina ka waasta
shaam jaana hai shaam jaana hai
shaam jaana hai shaam jaana hai
saqqa e sakina ay saakin al madina
ho gayi dekho phir ek baar akeli zainab
yaad aati hai azadaron ko bibi zainab
aap ko chadar e zainab ki qasam hai maula
band hai bibi ka darbar ye gham hai maula
ab na shehzadi ke gumbad pe alam hai maula
wo alam phir se sajado
shaam ka phir hamein zawwar bana do
maula abbas maula abbas maula abbas
tum ko sakina ka waasta
shaam jaana hai shaam jaana hai
shaam jaana hai shaam jaana hai
saqqa e sakina ay saakin al madina
shaam jab karbobala hote huwe jaaunga
aap ki qabr se mashkeeza mai bhar laaunga
turbat e baali sakina pe kahunga bibi
maula abbas ne bheja hai tumhe ye pani
ab talak shaam ke zindan mein hai jo pyasi
us bhatiji se mila do
shaam ka phir hamein zawwar bana do
maula abbas maula abbas maula abbas
tum ko sakina ka waasta
shaam jaana hai shaam jaana hai
shaam jaana hai shaam jaana hai
saqqa e sakina ay saakin al madina
phir sakina ke rauze pe girya kare
chaahte hai ke hum moo ka pursa kare
dil tadapta hai hum ko bata dijiye
shaam jab yaad aaye to hum kya kare
zakhmi kaano ka hai aap ko waasta
maula abbas maula abbas maula abbas
tum ko sakina ka waasta
shaam jaana hai shaam jaana hai
shaam jaana hai shaam jaana hai
saqqa e sakina ay saakin al madina
phir se ek baar halab jaa ke ziarat karle
shaah ka sar jahan rakha tha wo pathar choome
ab bhi aati hai jahan maula ke khoon ki khushboo
halqa e matam e shabbir bana kar har soo
is tarha nauha padhe aur bahayein aansu
tum hamein aa ke dua do
shaam ka phir hamein zawwar bana do
maula abbas maula abbas maula abbas
tum ko sakina ka waasta
shaam jaana hai shaam jaana hai
shaam jaana hai shaam jaana hai
saqqa e sakina ay saakin al madina
jab mujhe shaam ke bazaar ki yaad aati hai
maula abbas meri jaan nikal jaati hai
aap ki behne jahan laayi gayi be-chadar
phaynki sadqe ki khajoorein kabhi maare pathar
haath rehta tha sakina ka jahan chehre par
tum wo bazaar dikha do
shaam ka phir hamein zawwar bana do
maula abbas maula abbas maula abbas
tum ko sakina ka waasta
shaam jaana hai shaam jaana hai
shaam jaana hai shaam jaana hai
saqqa e sakina ay saakin al madina
amma fizza ki lehad dekh loo aur shireen ka ghar
maula phir shaam ka darbar bhi dekhun jaa kar
has ke zaalim ne jahan naam liya zainab ka
aur kaneezi mein sakina ko jahan maanga gaya
khoon rote rahe sajjad jahan par tanha
izn zainab se dilaa do
shaam ka phir hamein zawwar bana do
maula abbas maula abbas maula abbas
tum ko sakina ka waasta
shaam jaana hai shaam jaana hai
shaam jaana hai shaam jaana hai
saqqa e sakina ay saakin al madina
kijiye hazrat e abbas alamdar madad
dekhe zainab ka haram aur sakina ki lehad
hai ye zeshaan aur irfan e aza ka waada
shaam jis roz bhi dono ka bulawa hoga
bibiyon ke liye hum apne watan se wallah
le ke jayenge rida do
shaam ka phir hamein zawwar bana do
maula abbas maula abbas maula abbas
tum ko sakina ka waasta
shaam jaana hai shaam jaana hai
shaam jaana hai shaam jaana hai
saqqa e sakina ay saakin al madina