Do laakh ke narghe me Muhammad ka Nashaa'n hai
Hamdard kahan koi harek dushmane jaa'n hai
Ab maot hi Haidar ke Dulaare ki amaa'n hai
Magtal ki fazaon me ye Zehra ki fughaa'n hai
Shabbir hai tanha Mera Abbas kahan hai
Shabbir ki tanhai pa ha'nste hain sitamgar
Ab koi sahara nahi'n Qasim hai na Akbar
Sambhla nahi'n jaata Mere Bachche se faras par
Pyaase ki nigahon me har ek simt dhua'n hai
Shabbir hai tanha Mera Abbas kahan hai
Narghe me sitamgaaro'n ke ghash hai MeraDilbar
Khanjar liye aata hai idhar shimre sitamgar
Rann me nikal aayi hai udhar Zainabe Muztar
Khaimo'n me Nabi zaadio'n ki aaho fughaa'n hai
Shabbir hai tanha Mera Abbas kahan hai
Andaaz tasawur me jaga pa gaya kiska
Ye dard MereLaal ko tadpa gaya kiska
Khanjar ke tale bhi ye khayal aagaya kiska
Mazloom suwe nehr ba hasrat nigaraa'n hai
Shabbir hai tanha Mera Abbas kahan hai