shadeed zulm se kata gaya hussain ka sar
rula rula ke utara gaya hussain ka sar
burida jism se mazloom ke juda karke
sina pe haaye chadhaya gaya hussain ka sar
buland karke sina pe dayar e kufa se
dayar e shaam phiraya gaya hussain ka sar
waha'n waha'n pe qayamat guzarti jati thi
jaha'n jaha'n se guzarta gaya hussain ka sar
sina se dekh ke muslim ke sar ko kufe me
lahu ke ashk bahata gaya hussain ka sar
jaha'n bhi jata sina par sare ali akber
waha'n pe chehra phirata gaya hussain ka sar
koi na dekhle ahle haram ko be parda
kalaame paak sunata gaya hussain ka sar
ajeeb tarha se karke lahu me aaluda
haram ke samne laya gaya hussain ka sar
kabhi sina pe kabhi tahst me kabhi ghar me
kabhi tanoor me rakha gaya hussain ka sar
tamache maar ke bazaar me sakina ko
rula rula ke dikhaya gaya hussain ka sar
ameer-e-shaam se inaam lene ki khatir
zamee'n pe rakh ke tarasha gaya hussain ka sar
bala ke dasht me parwaz lashe zakhmi se
na puchho kaise milaya gaya hussain ka sar