shaah kehte thay bahot zulm sakina hoga
har taraf shaam e ghariban ka andhera hoga
baade qatle shahe abraar qayamat hogi
lootne qaimon ko aajayenge qaimon mein shaqi
dashte khoon khaar mein sadaat ka pursa hoga
har taraf shaam e ghariban...
ye sada dete thay maqtal meni hussain ibne ali
aakhri baar mere seene pe so le bibi
aaj ke baad padar honge na seena hoga
har taraf shaam e ghariban...
koi kaano se gohar cheenega aur koi rida
koi maarega tamacha koi ghudki dega
zulm kya kya na mere baad sakina hoga
har taraf shaam e ghariban...
koi hamdard na hoga meri beti nashaad
furqat e shaah mein ay jaane jigar asr ke baad
baap ke hijr mein har aan tadapna hoga
har taraf shaam e ghariban...
shola sadaat ke qaimon se uthega bibi
mere baysheer ka jhoola bhi jalega bibi
kya bataun mai sitam aal pe kya kya hoga
har taraf shaam e ghariban...
ghaur se dekhlo ay tashana dhan khaak hai ye
isko pehchaan lo ay baba ki jaan khaak hai ye
aaj ke baad yehi khaak bichona hoga
har taraf shaam e ghariban...
waqt raahat ka kahan ab na sukoon paogi
har tamache pe sitamgar ke tadap jaogi
baade shabbir ke saanson pe bhi pehra hoga
har taraf shaam e ghariban...
dayam o yazdan bayan kaise ho wo waqte qaza
ek kohraam macha jab shaah ne ro ke kaha
apne chehre ko tumhe ashkon se dhona hoga
har taraf shaam e ghariban...