sogaye maqtal mein sarwar hashr ka hangaam hai
ahlebait e mustafa par bekasi ki shaam hai
shaam wo shaam e ghariban aagayi sau gham liye
jal chuke qaime kahin par aur kahin kohraam hai
sogaye maqtal mein...
hai tamache ek yateema par khudaya is khadar
ummat e islam ka kya khoob ye inaam hai
sogaye maqtal mein...
baap ka seena milega ab kahan bibi tumhe
khaak ke bistar pe sona ab tumhara kaam hai
sogaye maqtal mein...
kehti hai bano sakina se suno bibi zara
ab yahan se ghar hamara dekho bas do gaam hai
sogaye maqtal mein...
hai namaz o roza o hajj sirf majlis shaah ki
kis jahan ke waaste hum par laga ilzaam hai
sogaye maqtal mein...
roz o shab masroof rehte hai pare matam sada
gham mein rona shaah e deen ke bas hamara kaam hai
sogaye maqtal mein...
jab se dekhi naujawan ke dil mein barchi ki ani
ume laila ki nazar mein aaj din bhi shaam hai
sogaye maqtal mein...
gham mein jeena gham mein marna hai muqaddar ya hussain
ye hamari zindagi sarwar tumhare naam hai
sogaye maqtal mein...
aap ke nauhon se maula saber o iqbal hai
nauha khwani nauha goyi dono ka ek kaam hai
sogaye maqtal mein...