jo kabhi soyi na thi aankhein wo ab soyengi
baad marne ke tere aale abaa royengi
teri chadar ka raha ab na muhafiz abbas
shaah e deen kehte thay kuch pal ka hai bhai mehman
hogaya hum se juda apna muhafiz abbas
teri chadar ka raha...
bibiyan jalte huwe qaimon mein jab royengi
yaad aayega wahan un ka muhafiz abbas
teri chadar ka raha...
maara zaalim ne tamache to sakina ne kaha
hai kahan mera chacha mera muhafiz abbas
teri chadar ka raha...
haye bemaar raha tauq o salasil mein aseer
yaad aata hai unhe apna muhafiz abbas
teri chadar ka raha...
haye wo koocha o bazaar mein thay ahle haram
sogaya nehr pe hum sab ka muhafiz abbas
teri chadar ka raha...
berida shaam ke darbar mein zainab hai khadi
hai kahan bhai mera mera muhafiz abbas
teri chadar ka raha...
haye bemaar tha saber wo ali ibne hussain
ek iqbal haram ka tha muhafiz abbas
teri chadar ka raha...