thi ishq e ali may rasan o daar se baatein
kya karti ajal meesam e tammaar se baatein
thi ishq e ali may...
ye nasir e shabbir hai peeche na hatenge
fauje na kare aahani deewar se baatein
thi ishq e ali may...
har jang may talwar to khamosh rahi hai
khyber may hui hyder e karrar se baatein
thi ishq e ali may...
allah ki marzi ke liye shaah e shaheedan
ab kaun karega tere deedar se baatein
thi ishq e ali may...
is tezi se abbas suye nehr chale hai
karti hai hawa ghode ki raftaar se baatein
thi ishq e ali may...
abbas ka hamla hai ke hamla hai ali ka
karti hai ajal lashkar e kuffar se baatein
thi ishq e ali may...
talwar to abbas ka moo dekh rahi hai
abbas bhi karte nahi talwar se baatein
thi ishq e ali may...
zinda hua mar mar ke kayi baar nusairi
bhooli na magar hyder e karrar se baatein
thi ishq e ali may...
kat'ti hai zaban hoti hai sachayi pa mohrein
hyder ki suno meesam e tammar se baatein
thi ishq e ali may...