Kanz e Aza

Tu Na Aaya Ghazi

A noha for Hazrat Abbas (a.s) (2008). Lyrics in Roman Urdu.

Tu na aaya ghazi

(Haaye Mere Abbas) x4


(Jab Ridaa Sar Se Chhini, Mai Sadaa Deti Rahi, Tu Na Aaya Ghazi) x2


Aale-Imraan Kahaan, Aur Zindaan Kahaan

Ye Behen Qaid Huwi, Tu Na Aaya Ghazi


Jab Ridaa Sar Se Chhini, Mai Sadaa Deti Rahi, Tu Na Aaya Ghazi


1. Hamko Paani Na Mile, Teri Khushbu Toh Rahe

Tere Baazu Na Kate, Chaahe Mashkiza Chhide

Yeh Magar Ho Na Saka, Tere Baazu Hai Judaa, Mujhpe Hai Tashna-Labi, Tu Na Aaya Ghazi

2. Dhup Mai Tu Thaa Shajar, Tujhse Aabaad Thaa Ghar


Hai Barehna Mera Sar, Kya Nahin Tujhko Khabar

Ay Alamdaare-Wafaa, Is Behen ko bakhuda

Tujhse Dhaaras Thi Badi, Tu Na Aaya Ghazi

3. Aagayi Shaam-e-Alam, Lutgaye Ehle-Haram


Ret Par Jalti Huwi, Hogaya Thanda Alam

Pursaa Dene Ke Liye, Mujhse Milne Ke Liye

Aagaye Baba Ali, Tu Na Aaya Ghazi

4. Kya Kahun Sher Mere, Beridaa Hamko Liye


Ye Musalmaa(n) Saare, Shehr dar Shehr Gaye

Khilqate Kufa Kabhi, Khilqate Shaam Kabhi

Baaraha Ham Pe Hassi, Tu Na Aaya Ghazi

5. Kitni Bebas Thi Behen, Ai Shehenshaahe Wafaa


Naam Leleke Mera, Jab Ye Zaalim Ne Kahaa

Naaz Tha Jispe Tujhe, Ab Bulaaona Usse Aur Mai Roti Rahi, Tu Na Aaya Ghazi

6. Qaid Khaane Mai Qazaa, Jab Sakina Ko Mili

Deke Kurte Ka Kafan, Bacchi Dafnaayi Gayi


Us Ghari Naam Tera, Surate Naade-Ali

Bas Mai Dohraati Rahi, Tu Na Aaya Ghazi

Khun Mai Dub Gaya, Mere Ghazi Ka Alam

Zakhmi Zainab Ka Jigar, Khun-Fishaa'n Shah Ka Sar


Aaye Khaimon Mai Shaqi, Tu Na Aaya Ghazi


Jab Ridaa Sar Se Chhini, Mai Sadaa Deti Rahi, Tu Na Aaya Ghazi


(Tu Na Aaya Ghazi) x2