Kanz e Aza

Tum Rehgaey Jaakar Kahan Abbas Kahan Ho

A noha for Moula Abbas (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Khaymon Mein Hai Aah-o-Buka Abbas Kahan Ho


Tooti Hai Kamar Shah Ki Aur Zakhmi Bahot Hain (x2)

Uthti Nahi Laash-e-Javan Abbas Kahan Ho


Shabbir Pay Talvaaron Ki Yalghaar Hai Uttho (x2)

Har Zakhm Hai Noha Kuna Abbas Kahan Ho


Kartay Hain Sitam Jashn Manaatay Hain Sitamgar (x2)

Hain Qaid Mein Shehzaadiyan Abbas Kahan Ho


Hai Raak Pay Bethi Hoowi Aur Khaak Hai Sar Par (x2)

Bai Haal Hain Saidaanian Abbas Kahan Ho


Dur Chingaey Lagtay Hain Sakina Kay Tamaachay (x2)

Yeh Kamsini Yeh Sakhtiyaan Abbas Kahan Ho


Ayk Shor Bapa Giaara Muharram Ko Tha Gohar (x2)

Ho Akbar-o-qasim Kahan Abbas Kahan Ho