shabe ekkeeswi ramzan aur ruqsat ka wo manzar
ali ne alwida bola to boli betiyan ro kar
baba baba baba
tumhare baad ay baba jiyengi betiyan kaise
kafan mein dekh kar chehra jiyengi betiyan kaise
khuda rakhe salamat betiyon par baap ka saaya
lipat kar baap se zainab ne ye ro ro ke farmaya
rahega jab na ye saaya jiyengi betiyan kaise
tumhare baad ay baba...
hamay tum apni mayyat ke liye raunaq nahi bolo
hamare ghar ki raunaq tum ho ye maloom hai sab ko
ye ghar hojayega soona jiyengi betiyan kaise
tumhare baad ay baba...
abhi amma ka gham bhooli nahi kulsoom aur zainab
chale jaoge tum bhi ghar se ay baba kafan mein jab
na tum hoge na maa zehra jiyengi betiyan kaise
tumhare baad ay baba...
khula hai zakhm khoon jaari hai ab tak aap ke sar se
ijazat do to zainab baandh de sar apni chadar se
agar khoon beh gaya saara jiyengi betiyan kaise
tumhare baad ay baba...
hua hai zarb ki shiddat se sar baba ka do paara
namazi ko musalle par layeen ne is tarha maara
kyun zaalim ne nahi socha jiyengi betiyan kaise
tumhare baad ay baba...
akela chod kar jaane ki tum baatein nahi karna
hamay bhi maar dega jeete ji haye baap ka marna
utha kar gham yateemi ka jiyengi betiyan kaise
tumhare baad ay baba...
ali ka aakhri saanson mein wo abbas se kehne
mera chehra ho meri betiyon ke saamne rehna
mujhe ye fikr hai beta jiyengi betiyan kaise
tumhare baad ay baba...
ali ruqsat huwe zeeshan aur farhan roye sab
janaza uth gaya lekin wahin baithi rahi zainab
sada deti rahi fizza jiyengi betiyan kaise
tumhare baad ay baba...