mohibbo mushkil kusha ki rehlat
ka waqt nazdeek aa raha hai
udao khaak ab saron pe apna
imam dunya se ja raha hai
pada hai ghash mein jahan ka maula
charaghe hasti ki lau bhi kam hai
umeed bachne ki kuch nahi hai
shigaaf sar ka bata raha hai
udao khaak ab...
ajab nahi ab wafoore gham se
khaleel sar apna peet'te hai
ke ghar mein khaaliq ke ibne muljim
charaghe kaaba bujha raha hai
udao khaak ab...
ajeeb kaifiyate alam hai
ye kaisa aalam hai bekasi ka
ke aah kulsoom par falak bhi
lahoo ke aansu baha raha hai
udao khaak ab...
wo marge akbar wo be-ridaai
wo raahe kufa wo qaid khana
koi ye zainab ke dil se pooche
nazar mein kya kya sama raha hai
udao khaak ab...
hassan se koi zara ye keh de
abhi kaleja na thaamiyega
abhi wo manzar hai door maula
abhi se kyun dard e dil utha hai
udao khaak ab...
kabhi ye maidan e karbala se
uthayega naujawan ki mayyat
hussain koofe mein aaj apne
pidar ka laasha utha raha hai
udao khaak ab...
ali ne abbas ko jo dekha
to ashk aankhon mein laake bole
abhi ye manzar nazar se guzra
kahin tu shaane kata raha hai
udao khaak ab...
nahi hai taabe nazar kisi ko
magar ye mehsoos ho raha hai
batool aansu baha rahi hai
viqar nauha suna raha hai
udao khaak ab...