rehgayi tanha betiyan baba haye kufa shehr mein
utho baba mai zainab hoo ye bibi ki sada hogi
mere maula ali ko jis ghadi aayi qaza hogi
utho baba mai zainab hoo...
nahi kyun bolte baba bulaati hai tumhe zainab
ke saare dard ghurbat ke sunaati hai tumhe zainab
tumhare baad sar pe ab yateemi ki rida hogi
utho baba mai zainab hoo...
abhi to maa ke sadme se na bachon ko sukoon aaya
ke teri maut ne phir se hamare dil ko tadpaya
yun lagta hai ke ab hum pe sitam ki inteha hogi
utho baba mai zainab hoo...
ali ki laash pe kulsoom ye ro ro ke farmeine
kya us beti ka jeena hai ke jiska baap mar jaye
ye sunkar bayn dukhtar ka tadapti sayyeda hogi
utho baba mai zainab hoo...
ba roze eid kalmago bahot khushiyan manayenge
tumhare gham mein baba magar aansu bahayenge
batao eid kya baba yateemon ki bhala hogi
utho baba mai zainab hoo...
rida sar pe nahi hogi sharabi humsafar honge
sina ki nok pe baba tumhare sab pisar honge
jahan bhi jayegi zainab wahan pe karbala hogi
utho baba mai zainab hoo...
kabhi aale mohamed ke nahi gham ko bhula sakte
hai jab tak dard seeno mein nahi eeidein mana sakte
ba roz e eid bhi mohsin hamare ghar aza hogi
utho baba mai zainab hoo...