chand qadmon se sakina ne ye manzar dekha
shimr ka baba pe chalt ahua khanjar dekhka
khaak par girti rahi bachi dehekte ran may
baap ki zulfon may jab daste sitamgar dekha
chand qadmon se sakina ne...
zulm to ye hai ke qatl karne se pehle usne
maar kar beti ko shabbir ko has kar dekha
chand qadmon se sakina ne...
tera zarbon se zyada hussain tadpe jab
shimr ke zulm se neela rukhe dukhtar dekha
chand qadmon se sakina ne...
rok le haath to shayad wo na phir waar kare
sheh ki gardan pe gala beti ne rakh kar dekha
chand qadmon se sakina ne...
jis jagah chain se soti rahi wo yasrab may
chalni teeron se sakina ne wo bistar dekha
chand qadmon se sakina ne...
door tak bibi ne daudayi thi apni nazrein
na kahin ghazi nazar aaye na akbar dekha
chand qadmon se sakina ne...
baap par chalti hui dekhi jo zarbein mohsin
ek masooma ne karbal may yun mehshar dekha
chand qadmon se sakina ne...