dam todti hai qaak pe naadaan ya hussain
syedaaniya'n hai saari pareshaan ya hussain
zainab ghareeb kis ko kahani sunaaegi
dunya se kooch kar gayi naadaan ya hussain
le de ke zindagi thi isi se rabaab ki
kaise jiyegi ab wo pareshaan ya hussain
bachi to qaid qaane me ghut ghut ke mar gayi
zaalim yazeed ab hai pashemaan ya hussain
ghurbat hai qaid qaana hai zainab karegi kya
mayyat pe khud hi padti hai quraan ya hussain
pani hai peene aur na mu dhaampne rida
ghuslo kafan ka kaise ho saamaan ya hussain
maa saamne hai dafn kare kis tarah se laash
beemaare gham hai tera pareshaan ya hussain