dar e zindan par koi masooma
padha karti hai ye ro kar nauha
baba baba baba baba
bahot darr mujhko yahan lagta hai
bahot tanha hoo chale aao na
baba baba baba baba
dar e zindan par...
khud aake dekh lo meri haalat
nahi pehchaan paoge meri surat
sahe bachpan mein masayib itne
zaeefa dikhne lagi ye dukhiya
baba baba baba baba
dar e zindan par...
bada dushwaar hai is qaid mein jeena
bahot yaad aa raha hai aap ka seena
gaye ho jab se nahi soyi mai
sukoon se ab tak kabhi ek lamha
baba baba baba baba
dar e zindan par...
mujhe phir qabr mein lagne laga hai darr
nikaala tha jinhone laasha e asghar
wo zaalim phir se palat aaye hai
phupi aur mai hoo yahan phir tanha
baba baba baba baba
dar e zindan par...
mai royun leke kab tak siskiyan baba
bahot dukhti hai meri phasliyan baba
sakina is dam hai kis haalat mein
faqat samjhengi ye daadi zahra
baba baba baba baba
dar e zindan par...
nazar aata nahi aankhon ko malti hoo
sahara leke deewaron ka chalti hoo
pakad kar zulfein mujhe zaalim ne
na jaane kaisa tamacha maara
baba baba baba baba
dar e zindan par...
lage hai zakhm jitne sab dikhaungi
jab aaoge to mai sab kuch bataungi
bahot maara hai bahot tadpaya
mujhe logon ne samajh kar tanha
baba baba baba baba
dar e zindan par...
nadeem us waqt khud zindan rota tha
sakina jis ghadi padti thi ye nauha
mujhe lagta hai ke ab ghut ghut kar
nikal jayega yahin dam mera
baba baba baba baba
dar e zindan par...