din dhal raha hai pyasi sakina udaas hai
mashk o alam ki ab bhi yateemon ko aas hai
dam ghut raha hai laut ke aajao ab chacha
asghar ko teen roz se pani nahi mila
bacche sisak rahe hai kayi din ki pyaas hai
din dhal raha hai...
rahawaar se sakina ne ro ro ke ye kaha
rakhna khayal dasht mein baba hussain ka
is dashte karbala mein yehi meri aas hai
din dhal raha hai...
ye raat ye andhera ye zehra ki betiyan
maqtal say ek yateema ki aati hai siskiyan
kaano se khoon behta hai chehre pe yaas hi
din dhal raha hai...
ye waaris e rasool hai tujhko khabar nahi
khanjar se qatl jisko tu karta hai ay layeen
dilband e fatema hai ye haq ki asaas hai
din dhal raha hai...
khoon khaar ban mein shaam e ghariban bhi aagayi
din mein tamaam shab ye sada goonjti rahi
baba tumhari laadli beti udaas hai
din dhal raha hai...
aao mohib namaz e mawaddat kare ada
emaan ki daleel hai ye gham hussain ka
rota hai jo hussain pe wo haq shanaas hai
din dhal raha hai...