izzat khuda ke deen ki bachali hussain ne
nana tumhari baat nibahyi hussain ne
ab kaun hai jo qaimon may jaa kar khabar kare
asghar ki qabr ran may banaali hussain ne
izzat khuda ke deen ki...
aankhon pe pattiyan aap ne baandhi thi ay khaleel
kadiyal jawan ki laash uthaayi hussain ne
izzat khuda ke deen ki...
shabbir ro pade thay kamar apni thaam kar
dekha jo ghar batool ka khaali hussain ne
izzat khuda ke deen ki...
karbobala may apna bhara ghar luta diya
lekin nabi ki baat na taali hussain ne
izzat khuda ke deen ki...
sach to ye hai ke hurmat e islam ke liye
shariyat ki baag e dor sambhali hussain ne
izzat khuda ke deen ki...
deen e khuda mohib jo andhere may ghir gaya
shamma hussaniyat ki jalaali hussain ne
izzat khuda ke deen ki...