Kanz e Aza

Mazloom Hussaina

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Mohib Fazli. Lyrics in Roman Urdu.

mazloom hussaina maghmoom hussaina


lachaar hussaina beyaar hussaina

ay bekason ke khaafila salaar hussaina

wo khanjar e bepeer kuja haye muqaddar

aur bosagahe ahmed e mukhtar hussaina

balkhaye na kyun dil mera jab noke sina par

bandh jaye tere gaysu e khamdaar hussaina

adam safiuallah se ta isie dauran

aisi na luti thi koi sarkar hussaina


mazloom hussaina mazloom hussaina

maghmoom hussaina maghmoom hussaina

hai aale nabi be-sar o samaan hussaina


ghar fatema ka hogaya veeran hussaina

mazloom hussaina maghmoom hussaina


zainab ki hai faryad nahi koi madadgaar

sajjad hai bemaar

dhaate hai sitam hum pe musalman hussaina

mazloom hussaina maghmoom hussaina

ghar fatema ka hogaya...


kaisi ye khiza aayi ke hum hogaye barbaad

zainab ki hai faryad

ujda hai payambar ka gulistan hussaina

mazloom hussaina maghmoom hussaina

ghar fatema ka hogaya...


ashoor ke din lut gayi zehra ki kameini

ya rab hai duhaai

islam pe ghar hogaya qurban hussaina

mazloom hussaina maghmoom hussaina

ghar fatema ka hogaya...


zianab pe hai tanhaai wo ab kisko bachaye

kya hogaya haye

hai ahle haram ran mein pareshan hussaina

mazloom hussaina maghmoom hussaina

ghar fatema ka hogaya...


afsos jawan laal ko dulha na banaya

sehra na sajaya

poora na hua maa ka ye armaan hussaina

mazloom hussaina maghmoom hussaina

ghar fatema ka hogaya...


aulaad e nabi lut gayi barbaad hua ghar

zainab hai khule sar

ay tashna dahan kaari e quran hussaina

mazloom hussaina maghmoom hussaina

ghar fatema ka hogaya...


ghar kar diya qurban magar deen bachaya

har ranj uthaya

hai deen e khuda par tera ehsaan hussaina

mazloom hussaina maghmoom hussaina

ghar fatema ka hogaya...


sarkar e jina dosh e nabi ka wo makeen hai

nabiyon ka yakeen hai

ummat ne bhulayi hai teri shaan hussaina

mazloom hussaina maghmoom hussaina

ghar fatema ka hogaya...


sar tan se juda hogaya aur baad e shahadat

hai teri ye azmat

padta raha naize pe tu quran hussaina

mazloom hussaina maghmoom hussaina

ghar fatema ka hogaya...


zainab ko abhi shaam ke bazaar hai jaana

aur ashk bahaana

manzil hai meri shaam ka zindan hussaina

mazloom hussaina maghmoom hussaina

ghar fatema ka hogaya...


yazdan ke labon par hai muhib ab yehi nauha

maghmoom hai zehra

hai bain ye dukhiya ka meri jaan hussaina

mazloom hussaina maghmoom hussaina

ghar fatema ka hogaya...