mazloome karbala tak mera salam leja
karbal ko jaane wale ghurbat uthane wale
mazloom tak rasayi qismat se paane wale
is kushtaye jafa tak mera salam leja
mazloome karbala tak…
ghar jisne sab lutaya pyasa gala kataya
wo shaah jisne mar kar nana ka deen jilaya
us sibte mustafa tak mera salam leja
mazloome karbala tak…
wo noor e chashme hyder wo fatema ka dilbar
wo jism o jaane ahmed bhai tha jiska shabbar
is paykare raza tak mera salam leja
mazloome karbala tak…
haaton pe sheh ke aaya pani na jisne paaya
pani ke badle jis par teer e jafa chalaya
shesh maahe mehleqa tak mera salam leja
mazloome karbala tak…
ran mein gira jo akbar shikwa na laaya lab par
seh seh ke sakht eeza jaan dedi jisne aakhir
humshakle mustufa tak mera salam leja
mazloome karbala tak…
seh seh ke jisne aafat deen ki bachayi izzat
khatron mein jisne payham ki deen ki himeinat
is aale mustufa tak mera salam leja
mazloome karbala tak…
shabbir ka biradar abbas ibne hyder
jo tha ameere lashkar jiska wafa tha zewar
us paykare safa tak mera salam leja
mazloome karbala tak…