Kanz e Aza

Mera Ishq ya Hussain

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Yasir Abbas. Lyrics in Roman Urdu.

mai arz e karbala hoo mera ishq ya hussain

mai aashiq e aza hoo mera ishq ya hussain


tum jao ambiya ke areezo se pooch lo

dunya ke la-ilaaj mareezo se pooch lo

mai markaz e shifa hoo mera ishq ya hussain

mai arz e karbala hoo...


mujh par karam khuda ka zamane se hai juda

mera bharam hai rauza e abbas e bawafa

mai qibla e wafa hoo mera ishq ya hussain

mai arz e karbala hoo...


pathar taraash kar mai banati hoo durr usay

naabin koi jo ho to banati hoo hurr usay

bakshish ka aasra hoo mera ishq ya hussain

mai arz e karbala hoo...


aankhon ke noor aur dil o jaan e sayyeda

madfan hai meri zaat mein armaan e sayyeda

mai qabre fatema mera ishq ya hussain

mai arz e karbala hoo...


dekhi hai maine gardane sarwar kati hui

dekhi hai maine chadare zainab luti hui

mai gham mein mubtela hoo mera ishq ya hussain

mai arz e karbala hoo...


abid ki bebasi mein basayi gayi hoo mai

sar ki ridayein de ke bachayi gayi hoo mai

zainab ki mai sada hoo mera ishq ya hussain

mai arz e karbala hoo...


wo phasliyon ko thaam kar ab tak hai nauhagar

yasir jo keh rahi hai ke pyaasa mera pisar

us maa ki mai buka hoo mera ishq ya hussain

mai arz e karbala hoo...